''आज़ाद है मेरी परछाई मेरे बगैर चलने को,,,मै नहीं चाहता मेरे अपनों को ठोकर लगे...ये तो 'वर्तमान की परछाई' है ऐ दोस्त...जिसकी कशमकश मुझसे है...!© 2017-18 सर्वाधिकार सुरक्षित''

Recent News

LATEST:

Sunday, December 25, 2011

mai wafaa ki kasmein nahi khata...(kuchh anakahi baatein)

Log akasar aashiqi me kasme khate hai...mai kasmo ka lihaz rakhata hoo kasme nhi khata wafa ki...kyuki mere liye wafa jaruri hai ki jinda rahe kasmo ki baishakhi wafaa ko langda bna deti hai..

Wo jo hasakar milta tha mujhe wo mera gurur tha ki muhbbat krne ka salika tha..wo akasar mujhse lipatkar kaha krta tha mujhe teri muhbbat teri diwangi achchhi lagti hai..kabhi dil tod k na jana warna esi roothungi ki khuda bhi mana n payega..

Mai uski har baat maan bhi leta to bhi wo mujhse rootha rahta..
Mai janta tha wo jalim nhi tha magar uska roothna bhi ik khoobsurat muhabbat krne ki aadat thi..wo apni aadat se mazboor tha mai apni aadat se mazboor tha..

Wo meri muhabbat ka salahkar tha me uski muhabbat ka salahkar tha..wo us roj bhi mila tha mujhse jhuthe gavaho ke sath..jis roj hum apni hi muhabbat k kaatil bankr diwangi ki adalat me the..hazaro logo ki nazro me mujrim bankar..

Mujhe nhi hai yakin abhi bhi ki wo bewfaa nikla..
Kashamkash jaari hai meri mujhse ki yakin kyo n kroo ki ek arsa bit gya use yaad kiye..

Bdi shiddat se aaj bhi uske pyar ko apne dil me jinda rakkhe hoo...janta hoo akasar dil me bsi muhbbat dil ki dhadakan ban jati hai..kabhi sukhe hotho ki muskurahat to kabhi aankho ki kajal bn jati hai...

Muhabbat kya hai? Bas tera rooth jana or mera manana..
Tera nazre uthana or mera muskura dena..

Wo mere khto ko aaj bhi usi masumiyat se padhti hai jo masumiyat hamari aashiqi me deewar ban gyi thi..wo us or intezar krti rah gyi mai is or intezar krta rah gya..

Duniya ne jise pagal karar diya jise..
Wo shakhs muhabbat ka shahanshah nikla..wo kahta hai akasar mujhe..ki..mai uska hi rah saku hamesha jiska aashiq hoo ye sochkar khud ko pagal kar diya..

Mujhe itana haq na bakhs ki teri har aarzoo ki soorat mere aayine me hoobahoo utar jaye...
Teri muskurahat ko labo se yu juda na kar..
Mai kahi kho na jaunga..mai hoo tera..
Bas tera hi hoo..






0 comments:

Post a Comment

अरे वाह! हुजुर,आपको अभी-अभी याद किया था आप यहाँ पधारें धन्य भाग हमारे।अब यहाँ अपने कुछ शब्दों को ठोक-पीठ के ही जाईयेगा मुझे आपके शब्दों का इन्तेजार है...


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets